Bahot se researchers ye bataye hai ki jin logo ki willpower strong hoti hai.wo life me jyada khush jyada healthy jyada safal aur achhe rishtey banate hue achha paisa kamate hai aur ek lambi life jite hai.kya aap jante hai ki strong motivation ke liye 70% tak apka brain jimmedar hota hai.Willpower ek muscle ki tarah hai. Jise abhyash se strong banaya ja sakta hai.
Ajj is blog me janenge 5 aesi bate jinhe yadi aap apne jivan me apna le to apka brain pahle se jyada charge rahega. Aapke willpower ko nirantar urja milti rahgi. aap mushkil kam aur kathin samay ka mukabla karne ke liye aap hamesha bheetar se motivate rahenge. Aur ye 5 bate na keval students balki kisi bhi kshetra me kam karne wale har vyakti ke liye bahot hi kam aane wili hai. To bde dhyan se Iss blog ko jaroor padhna.
1). High-level thinking
High-level thinking ke liye jaroori hai focus on your wibe Japan ke prophesir foojito ne ek experiment me paya ki jin logo ki high level thinking hoti hai un logo ki willpower bhi high hoti hai. High level thinking ke liye jaroori hai aap jo bhi karna chahte hai us karya ko karne ka apke pas koi ek strong reejan koi ek strong why hona chahiye.jeaise yadi aap vajan ghatana chahte hai to apke pas ek strong reejan hona chahiye ki aap vajan kyo ghatana chahte hai? Yadi aap jimm jana chahte hai to apke pas koi ek aisa why hona chahiye ki aap jimm kyo jana chahte hai? Yadi aap exam me top karna chahte hai to apke pas koi ek strong why hona chahiye ki apko top kyun karna hai? Kyunki lakshya ek rashta hai jis pr apko chalna hai. Lekin apka why is rashte pr chalne ke liye nirantar fuel ka kam karta hai. Apka why apki willpower ko har mushkil har paristhiti se ladne ke liye logo ki nakaratmak bato ki parvah kiye bager nirantar urja deta rehta hai. Sabhi safal logo ki safalta me unke why ka ek bahot bda role rehta hai aur apka ye why kuch bhi ho sakta hai. Jaise apke Mummy papa ki apse ummide apka why ho sakta hai. Wo log jo bat bat pr apki aukat yad dilate hai apka majak banate hai aur kahte hai ki tumse na ho payega ye sabhi apke why ho sakte to dhundhiye apna vo why?
Atmavishvas yaniki confidence wo chijh hai jo apke under motivation ko kai guna badha deta hai. Sochiye kisi kam ko karne me apko khud ki ability pr dout hai. To us kam me apke success hone chances kitne pratisat honge aur sochiye Yadi usi kam ko pura karne me apko khudki ability pr bharosha ho to success hone ke chances kitne jyada honge.yakinan dusri situation me aap jyada batter fill karenge. Yaniki confidence apki willpower ko badhane me apki madad karta hai aur confident badhane ka ek asan tarika hai posture dosto ek experiment ke dauran kuch sodh kartao ne kuch participants ko 2 weeks tak apne posture pr dhyan dene ke liye kha aur unhe nirdesh diya ki jab bhi aisa lage ki unki pith sidhi nahi hai turant apne posture ko thik kre. Apni pith ko bilkul sidha rakhne ka prayash kre aur iss dauran unke willpower aur confident ko check karne ke liye unhe kai karya bhi diye gye aur 2 weeks ke bad shodhkartao ne ye paya ki simple se abhyash un sabhi me confidence aur willpower me kafi achhi improvement hui. To aap bhi aaj se khade ho ya baithe ho apne posture per dhyan de. Yadi apko koi medical paresani nhi hai to koshish kre ki apni pith ko hamesha sidha rakhne ki aur fark kuch hi dine me aap swayam mehsus karenge.
3) Chunking ( break down task )
Means Karya ko chote chote tukdo me batna.dosto iss method me kisi bde kam ya lakshya ko mannagebl tukdo me bat diya jata hai aur Chunking ka sabse best Example hai vishva ke bde magician me se ek Devid Blaine ka jinhone apni sahan shakti aur willpower se kai world record banaye hai. Jinme se ek tha 63 hour barf ke ek block me bitana sochiye aisa karne ke liye kitni jyada willpower kitni jyada motivation ki jarurat rahi hogi. Jab unse pucha gya ki unho ne ye sab kaise kiya to unka kahna tha ki unho ne iss aice- box me minimum 60 hour bitane ki sochi thi aur unho ne in 60 hour ko ek ek ghate me bat diya aur jab bhi 1 hour pura hota to wo khudse yahi kahte ki bas ab agla ek ghanta aur yani ki tota 60 ghanto ke bare me sochne ke bajay wo keval agle 1 ghate ke bare me sochte the. Jisse unki willpower barabar bni rahti thi aur unhe agle 1 ghante ke liye nirantar Urja milti rahti thi. Hum sabhi me asimit echha-sakti hai aur use practice se badhaya bhi ja sakta hai. Dosto ye brain kuch iss tarah se design hai ki sareerik urja ka kam se kam istemal ho. Isiliye jab aap koi bda lakshya koi bda karya chunte hai to ye brain janta hai ki isme bahot urja bahot jyada willpower ki jarurat hogi. Isiliye ye brain apko batayega ki ye karya aap nhi kar sakte ye krya apke bas ka nhi hai pr jab aap koi chete karya ko chunte hai to ye brain kahta hai ki ye ho sakta hai sambhav hai. Aap ise kar sakte hai. Jaise yadi koi vyakti apna vajan 20 killo kam karna chahta hai to use ye karya mushkil lag sakta hai. Lekin wo vyakti har week keval 1 killo vajan ghatane ki soche to ye karya bde hi vishvaas ke sath asani se kar sakta hai aur har week khudki progress ko dekh kar ush willpower aur confidence har bar badhta jayega aur we age badhne ke liye prerit hota rahega.
Ek study ke anusar apke bhitar ki willpower kafi had tak iss bat pr nirbhar karti hai ki aap apni willpower ko kaise dekhte hai. Yaniki yadi apko lagta hai ki apki ichha-shakti simit hai to wo simit hi rahegi aur yadi apko lagta hai ki apki ichha-shakti asimit hai to wo asimit banegi yaniki jaisa aap sochte hai waisa hi aap bante hai aur iske liye jaroori hai aap khudke khud pr vishvaas ko majbut banaye aur isskeliye aap har subah affirmation ki ye ek line 10 se 15 bar jaroor dohraye. " Me apne har karya ko pure atmavishvas ke sath complete karne ki puri kabiliyat rakhta hu."
5) 10 Minutes of meditation
Willpower ko badhane me meditation ek bahot bda yogdan de sakta hai. Bahot se researchers ye batate hai ki 2 se 3 day's keval 10 minutes meditation ki practice karne matra se aapka focus bahtar hota hai. Aap jyada urja mahsoos karte hai aur apka tress- level bhi kum hota hai aur meditation se apka confidence badhta hai aur willpower muscle majbut banta hai. To ye thi wo 5 khash batein jinhe yadi aap apne jeevan me samil karle to apka confidence aur apka willpower kai guna badh jayegi. Aap in sabhi bato me se konsi bat aap apne jeevan me apnayenge mujhe comments jaroor bataiyega.
Exellent๐๐
ReplyDelete